Stevia : 11 Health Benefits | Nutritional Values | 6 Side-Effects | Usages | Types | Manufacturing Process | Sugar Substitute

Stevia: The All-Natural Sweetener That Won’t Break the Diet (or the Bank!)

Sugar cravings – they hit us all. But for those of us watching our sugar intake, indulging those cravings can feel like a betrayal. Enter stevia, the superhero of sweeteners! This natural wonder derived from a humble South American plant offers a guilt-free way to satisfy your sweet tooth, without the calorie bomb of sugar.

https://www.theinnerhunger.com/post/stevia-11-health-benefits-nutritional-values-6-side-effects-usages-types-manufacturing-p

https://www.theinnerhunger.com

Arman

Tute hue dil se heraan rahoge kab tak,

Kwaisho ki udan abhi baki hai,

Lagana hai dil to fir se hath badhaiye janab,

Logo mai mohobat ke arman abhi baki hai.

MOHOBBAT

Kon Kehta H Mohobbat Doulat Ki Mohtaz Hai

Maine Logo Ko Jhopdo Mai Haste

Aur…..

Pyar Karne Walo Ko Sadko Pe Peidal Chalte Dhekha Hai

Abb iss masum se koi wada na kar

Bite waqt ki koi yaad ab taza na kar,

Bhulana hai jo itihas usme sharm zada na kar,

Na nibha hai na nibhega tujhse,

Abb iss masum se koi wada na kar

 

Na smaj nai ho tum shayd pehle se,

Wakif to hoge uss dard ke pehre se,

Iss bar koi gum sajha na kar,

Ab rook le khud ko khud tak baass ,

Ab iss masum se koi wada na kar.

 

Kimat nai koi zarurat nai,

Meri taraf se koi nasihat nai,

Jo hai sab tera mujhse ummid zada na kar,

Man le hu tera sabki trha pr,

Ab iss masum se koi wada na kar.

Er Anurag Upadhyay

Bass Insaniyat Pe Aitbar Karta Hu

Mai azaan ki uss awaz pe shaan krta hu,
Gurudwaro ki shanti se pyar krta hu,
Mai girzaghar kya mandiro ki diwaro pe vishwas krta hu,
Tumse alag nai mai,
Bass insaniyat pe aitbar krta hu.

Na dhekha tune hai na maine hai,
uski taswir na murti na kabr pe dhyan rakhta hu,
Mai upar wale ki ziya se pyar krta hu,
Koi gair nai mai,
Bass insaniyat pe aitbar krta hu.

Kon ho tum jo btate ho humko,
Mai tumko sharm se yaad karta hu,
Ye jhando ke rang desh hi batte hai,
Mai uss khun ke range se pyar karta hu,
Koi gair nai mai,
Bass insaniyat pe aitbar karta hu.

Tyoharo mai rang waha bhai hai yaha bhi,
Fark to bass rabbta aur veshwas ka hai,
Mai uss safed rang ke kafan se pyar karta hu,
Koi gair nai mai dost,
Bass insaniyat pe aitbar karta hu.

Wo kehte hai chum lete kalam ko meri,
Gar kabhi hojate ho rubru mujhe se,
Maine bhi keh diya-
Mai to shayr hu bass,
Kalam se zada uski syahi pe aitbar krta hu.

Er Anurag Upadhyay

 

 

 

Kalam Ruki Hai

Kalam ruki h Dil udaas hai,

Aaj iss dil ka kuch alag hi mizaz hai,

Samaj nai aat din wahi hai ya kuch khas hai,

Purane panno mai uljhi shayad aaj fir ye shaam hai,

Kher

Guzar jayega ye bhi har din ki tarha,

itna to ab khud pe eitbar hai.

Shyad Ek Bujhti Shama Ho Tum

 

Dil pe likhi syahi ki wafa ho tum,
Mere jivan ki ekk nazuk si khata ho tum,
Par moka-E dastur kuch yuu badla,
Ki abb wakt ki dhara se juda ho tum,
Shayd ek bujhti shama ho tum.

 

Waqt ke sath jasbato ke tbadle hote gye,
Yaade hui kaam aur hum chain se sote gye,
Akhir kab tak takti ye aikhe tumhe,
Abb in narzo mai bewafa ho tum,
Shayd ek bujhti shama ho tum.

 

Yaade wo bate hum bhula na sake,
Wo rakhe purane kuch khat hum jala na sake,
Pr fir bhi mnaa liya khud ko ,
Ki kisi aur pe ab fida ho tum,
Shayad ek bujhti shama ho tum.

 

Beshaq irada wafa ka hoga tumhara,
Par fir bhi tuta wo sapna humara,
Par kismat ne yu moda mujhe,
Ki ab to bass gairo ki jgha ho tum,
Shayd ek bujhti shama hoo tum.

 

Abb humare zehen mai naa aati ho tum,
Naa humare sapno ko bhaati ho tum,
Ab keh diya hai alvida teri yaado ko,
Kyo Ki abb muskilo ki trha ho tum,
Shayad ek bujhti shama ho tum.

 

Na aana kabhi wapas ye fariyd karte hain,
Gar hua kuch yu to kal ke anzam se darte hain,
Bass itna hi sa tha ye reshta humara,
Abb na hoga koi tumsa humara,
Kyo ki abb humare liye gunha ho tum,
Shayd ek bujhti shama ho tum.

 

Er Anurag Upadhyay 


			

Mujhe Wo Guzra Waqt Yaad Aata Hai

Bachpan ki wo khilono ki ikkcha,
Baddi muskil bhari thi wo board ki parikhcha,
Wo maidan mai khel khelne jana,
Wo naye kapdo ka zamana yaad aata hai,
Mujhe wo guzra waqt yaad aata hai.

 

Wo school ki phadai wo dosto se ladai,
Addyapko ki unn galtiyo pe jhadai,
Doston ke sath wo raaten bitana,
Wo pese ka muskil sa hisab yaad aata hai,
Mujhe wo guzra waqt yaad aata hai.

 

Wo college mai jane ki chahat,
Exam ke baad wo sem break ki rahat,
Wo college ki diware kuud jana,
Wo dosto ka darna yaad aata hai,
Mujhe wo guzra waqt yaad aata hai.

 

Nokri mai jane ki wo taiyariya,
Bade package pane ki wo bimariya,
Wo dusro shehro main jana,
Wo pehla interview yaad aata hai,
Mujhe wo guzra waqt yaad aata hai.

 

Wo shurwat mai nokri mai pareshaniya,
Wo sath walo ki kari hui bemaniya,
Mehnat kar wo kaam sikhna,
Aage bhadne ka wo jasba yaad aata hai,
Mujhe wo guzra waqt yaad aata hai.

Er Anurag Upadhyay

 

 

Create a website or blog at WordPress.com

Up ↑